chaaron taraf kuchh diwaren si rahti hain aahon mein lagi
chāroñ taraf kuchh dīvāreñ sī rahtī haiñ aahoñ meñ lagī
merī miTTī tere ghar kī gahrī buniyādoñ meñ lagī
chup kī chādar oḌh to lī hai paañv chhupeñ sar khul chaa.e
mahrūmī kī dhuup na jaane kab se āvāzoñ meñ lagī
un se zulmat-e-dasht muqaddar aur siyāh na ho jaa.e
chhoḌ na detā chāñd kirneñ tum apne ḳhvāboñ meñ lagī
mujh se mere apne log bhī rahte haiñ begāne se
mere naam kī kaun sī tohmat un ke andāzoñ meñ lagī
is mausam meñ Daalī Daalī barf ke itne phuul khile
rañg-o-tapish se mahrūmī kī shāḳh mire jazboñ meñ lagī
chaaron taraf kuchh diwaren si rahti hain aahon mein lagi
meri miTTi tere ghar ki gahri buniyaadon mein lagi
chup ki chadar oDh to li hai panw chhupen sar khul chae
mahrumi ki dhup na jaane kab se aawazon mein lagi
un se zulmat-e-dasht muqaddar aur siyah na ho jae
chhoD na deta chand kirnen tum apne KHwabon mein lagi
mujh se mere apne log bhi rahte hain begane se
mere nam ki kaun si tohmat un ke andazon mein lagi
is mausam mein Dali Dali barf ke itne phul khile
rang-o-tapish se mahrumi ki shaKH mere jazbon mein lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.