chaDh ke dar-o-rasan par ye kya de gaya
chaḌh ke dār-o-rasan par ye kyā de gayā
ek dīvāna dars-e-vafā de gayā
us ko qātil kahūñ yā masīhā kahūñ
zahr de kar jo mujh ko davā de gayā
rāh-e-ulfat meñ jab gul khilānā paḌā
kaam talvoñ kā har aabla de gayā
ham ne māñgā thā ulfat-bharā ek dil
koī TuuTā huā aa.ina de gayā
āñsuoñ ke samandar nahānā paḌā
koī hañsne kī aisī sazā de gayā
naz' ke vaqt kī de ke bechainiyāñ
mujh ko jiine kī zālim du'ā de gayā
'shauq' chhū luuñ to miTTī bhī sonā bane
'ishq vo nusḳha-e-kīmiyā de gayā
chaDh ke dar-o-rasan par ye kya de gaya
ek diwana dars-e-wafa de gaya
us ko qatil kahun ya masiha kahun
zahr de kar jo mujh ko dawa de gaya
rah-e-ulfat mein jab gul khilana paDa
kaam talwon ka har aabla de gaya
hum ne manga tha ulfat-bhara ek dil
koi TuTa hua aaina de gaya
aansuon ke samandar nahana paDa
koi hansne ki aisi saza de gaya
naz' ke waqt ki de ke bechainiyan
mujh ko jine ki zalim du'a de gaya
'shauq' chhu lun to miTTi bhi sona bane
'ishq wo nusKHa-e-kimiya de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.