chaDha jo dil pe mere un ke intizar ka rang

chaDha jo dil pe mere un ke intizar ka rang
Surayya Sultana Naseem Niyazi
MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi
chaḌhā jo dil pe mire un ke intizār kā rang
ḳhizāñ meñ Duub gayā mausam-e-bahār kā rang
badal gayā jo muqaddar to har koī badlā
bigaḌ gayā bahar-andāz e.atibār kā rang
mire hī dil kī udāsī hai saare aalam par
shafaq meñ aane lagā chashm-e-ashk-bār kā rang
gul-o-kalī se gulistāñ kī charḳh-e-gardūñ tak
har ek shai se numāyāñ hai husn-e-yār kā rang
kisī kī chashm-e-fusūñ-sāz ke karishme haiñ
dil-o-dimāġh pe chhāne lagā ḳhumār kā rang
kabhī na naaz karo chaar din kī ḳhushiyoñ par
badal na jaa.e ḳhizāñ se kahīñ bahār kā rang
'nasīm' ik mirī hastī meñ sab hī muzmar haiñ
vafā kā rang hai aur jabr-o-iḳhtiyār kā rang
chaDha jo dil pe mere un ke intizar ka rang
KHizan mein Dub gaya mausam-e-bahaar ka rang
badal gaya jo muqaddar to har koi badla
bigaD gaya bahar-andaz eatibar ka rang
mere hi dil ki udasi hai sare aalam par
shafaq mein aane laga chashm-e-ashk-bar ka rang
gul-o-kali se gulistan ki charKH-e-gardun tak
har ek shai se numayan hai husn-e-yar ka rang
kisi ki chashm-e-fusun-saz ke karishme hain
dil-o-dimagh pe chhane laga KHumar ka rang
kabhi na naz karo chaar din ki KHushiyon par
badal na jae KHizan se kahin bahaar ka rang
'nasim' ek meri hasti mein sab hi muzmar hain
wafa ka rang hai aur jabr-o-iKHtiyar ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.