chaDhe jo dhup tamazat se jism hanpte hain
chaDhe jo dhup tamazat se jism hanpte hain
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
chaḌhe jo dhuup tamāzat se jism hāñpte haiñ
jo din bujhe to sitāroñ se raat Dhāñpte haiñ
añdherī raat pur-asrār ghar makīñ chup-chāp
muhīb saa.e khulī khiḌkiyoñ meñ jhāñkte haiñ
ḳhayāl-o-fikr kī taqvīm meñ sar-e-aflāk
diye jalāte haiñ taare ufuq pe Tāñkte haiñ
shikan se lahje kī dil meñ darāḌ paḌtī hai
so be-ruḳhī tere māthe ke bal se nāpte haiñ
shagun ke phuul jale sūrajoñ ke tasht meñ haiñ
ye kis ke aks haiñ jo aarsī meñ jhāñkte haiñ
jo zindagī kī harārat nahīñ sameT sake
vo ġham-nazhād sabhī mausamoñ meñ kāñpte haiñ
bahut buland uḌānoñ kī aarzū kab hai
hamāre ḳhvāb to chiḌiyoñ se pañkh māñgte haiñ
guzartā vaqt jinheñ rāste meñ chhoḌ gayā
vo umr bhar ke musāfir haiñ ḳhaak phāñkte haiñ
chaDhe jo dhup tamazat se jism hanpte hain
jo din bujhe to sitaron se raat Dhanpte hain
andheri raat pur-asrar ghar makin chup-chap
muhib sae khuli khiDkiyon mein jhankte hain
KHayal-o-fikr ki taqwim mein sar-e-aflak
diye jalate hain tare ufuq pe Tankte hain
shikan se lahje ki dil mein daraD paDti hai
so be-ruKHi tere mathe ke bal se napte hain
shagun ke phul jale surajon ke tasht mein hain
ye kis ke aks hain jo aarsi mein jhankte hain
jo zindagi ki hararat nahin sameT sake
wo gham-nazhad sabhi mausamon mein kanpte hain
bahut buland uDanon ki aarzu kab hai
hamare KHwab to chiDiyon se pankh mangte hain
guzarta waqt jinhen raste mein chhoD gaya
wo umr bhar ke musafir hain KHak phankte hain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.