chaDhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan
chaḌhte tūfān ko sāhil se guzarnā thā miyāñ
riit ke ghar ko bahar-hāl bikharnā thā miyāñ
kab talak paañv ko toḌe hue baiThā rahtā
rāh-e-dushvār se rah-rav ko guzarnā thā miyāñ
itne mānūs the sayyād se jaate na kahīñ
qaid meñ par na parindoñ ke katarnā thā miyāñ
jab na samjhe to phir ab chheḌ ke pachhtānā kyā
chashm-e-namnāk meñ ublā huā jharnā thā miyāñ
ishq ke gahre samundar meñ ga.e kyuuñ 'anvar'
uthle paanī meñ agar Duub ke marnā thā miyāñ
chaDhte tufan ko sahil se guzarna tha miyan
rit ke ghar ko bahar-haal bikharna tha miyan
kab talak panw ko toDe hue baiTha rahta
rah-e-dushwar se rah-raw ko guzarna tha miyan
itne manus the sayyaad se jate na kahin
qaid mein par na parindon ke katarna tha miyan
jab na samjhe to phir ab chheD ke pachhtana kya
chashm-e-namnak mein ubla hua jharna tha miyan
ishq ke gahre samundar mein gae kyun 'anwar'
uthle pani mein agar Dub ke marna tha miyan
- Book : Nuquoosh-e-hayaat (Pg. 12)
- Author : Anwar Jamal Anwar
- Publication : Anwar Jamal Anwar (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.