chahaar samt kahin daen baen lagti hain
chahār samt kahīñ daa.eñ baa.eñ lagtī haiñ
sukūt toḌnā ho to sadā.eñ lagtī haiñ
buzurg aise bhalā.ī ke peḌ haiñ jin par
agar samar na lage to duā.eñ lagtī haiñ
ki in ke hone se ghar bhī chahakne lagtā hai
mujhe to beTiyāñ bhī fāḳhtā.eñ lagtī haiñ
batāyā jaa.e agar dil kā dard roknā ho
to ek maah meñ kitnī davā.eñ lagtī haiñ
huuñ ik pahāḌ kī choTī pe āj-kal ābād
maiñ ghar se niklūñ to dil se ghaTā.eñ lagtī haiñ
maiñ is liye bhī jalātā huuñ apnā dil 'ejāz'
ki is diye ko zarā kam havā.eñ lagtī haiñ
chahaar samt kahin daen baen lagti hain
sukut toDna ho to sadaen lagti hain
buzurg aise bhalai ke peD hain jin par
agar samar na lage to duaen lagti hain
ki in ke hone se ghar bhi chahakne lagta hai
mujhe to beTiyan bhi faKHtaen lagti hain
bataya jae agar dil ka dard rokna ho
to ek mah mein kitni dawaen lagti hain
hun ek pahaD ki choTi pe aaj-kal aabaad
main ghar se niklun to dil se ghaTaen lagti hain
main is liye bhi jalata hun apna dil 'ejaz'
ki is diye ko zara kam hawaen lagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.