chain aata nahin un se mulaqat kiye bin
chain aatā nahīñ un se mulāqāt kiye bin
boleñ na vo maiñ rahtī nahīñ baat kiye bin
kambaḳht havāoñ ne ye kyā keh diyā un se
kyoñ abr uḌe jaate haiñ barsāt kiye bin
mai aa ga.ī ghar meñ ye ḳhabar shaiḳh na sun leñ
lauT ā.eñge masjid se munājāt kiye bin
shāyad unheñ Dar ho maiñ shikāyāt karūñgī
aa.e the ga.e pursish-e-hālāt kiye bin
tum un se koī baat ishāroñ meñ na karnā
kam-fahm na māneñge savālāt kiye bin
sultān ko apnā koī shahkār na kar pesh
chhoḌegā na vo tujh ko qalam haath kiye bin
kyā vaz.a banāte haiñ siyāsat ke mashā.iḳh
aabid nazar aate haiñ ibādāt kiye bin
chain aata nahin un se mulaqat kiye bin
bolen na wo main rahti nahin baat kiye bin
kambaKHt hawaon ne ye kya keh diya un se
kyon abr uDe jate hain barsat kiye bin
mai aa gai ghar mein ye KHabar shaiKH na sun len
lauT aaenge masjid se munajat kiye bin
shayad unhen Dar ho main shikayat karungi
aae the gae pursish-e-haalat kiye bin
tum un se koi baat ishaaron mein na karna
kam-fahm na manenge sawalat kiye bin
sultan ko apna koi shahkar na kar pesh
chhoDega na wo tujh ko qalam hath kiye bin
kya waza banate hain siyasat ke mashaiKH
aabid nazar aate hain ibaadat kiye bin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.