chain ab mujhko tah-e-dam to lene dete
chain ab mujh ko tah-e-dām to lene dete
tere fitne kahīñ ārām to lene dete
aap ne is kā taḌapnā bhī gavārā na kiyā
dil-e-muztar se koī kaam to lene dete
maut bhī bas meñ nahīñ hai tire majbūroñ kī
zindagī meñ koī ilzām to lene dete
pal meñ manzil pe uḌā laa.e fanā ke jhoñke
lutf rah rah ke bahar-gām to lene dete
haath bhī terī nigāhoñ ne uThāne na diyā
dil-e-betāb zarā thaam to lene dete
'saif' har baar ishāroñ meñ kiyā us ko ḳhitāb
log us but kā mujhe naam to lene dete
chain ab mujh ko tah-e-dam to lene dete
tere fitne kahin aaram to lene dete
aap ne is ka taDapna bhi gawara na kiya
dil-e-muztar se koi kaam to lene dete
maut bhi bas mein nahin hai tere majburon ki
zindagi mein koi ilzam to lene dete
pal mein manzil pe uDa lae fana ke jhonke
lutf rah rah ke bahar-gam to lene dete
hath bhi teri nigahon ne uThane na diya
dil-e-betab zara tham to lene dete
'saif' har bar ishaaron mein kiya us ko KHitab
log us but ka mujhe nam to lene dete
- Book : Ghazalistaan (Pg. 148)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.