chain dam bhar ko sar-e-sham kahan hota hai
chain dam bhar ko sar-e-sham kahan hota hai
Krishn Gopal Maghmum
MORE BYKrishn Gopal Maghmum
chain dam bhar ko sar-e-shām kahāñ hotā hai
dil sulagtā ho to ārām kahāñ hotā hai
nargis-e-nāz se jo mujh ko atā hotā thā
ab mire hisse meñ vo jaam kahāñ hotā hai
apnī himmat hī se hotī hai shikāyat mujh ko
shikva-e-gardish-e-ayyām kahāñ hotā hai
pyaar vo khel nahīñ jis kā ho anjām ba-ḳhair
dil magar vāqif-e-anjām kahāñ hotā hai
ādatan shaam ko uTh jaatī haiñ merī nazreñ
aur vo chāñd sar-e-bām kahāñ hotā hai
dil hī dil meñ maiñ tirā naam liyā kartā huuñ
mere hoñToñ pe tirā naam kahāñ hotā hai
rāh-e-dushvār-e-vafā zer-e-qadam hai lekin
hausla dil ko bahar-gām kahāñ hotā hai
iltifāt ek baḌā vasf hai sab jānte haiñ
ye magar sheva-e-asnām kahāñ hotā hai
kis ko miltī hai yahāñ husn-shanāsī yaaro
tohfa-e-zauq-e-nazar aam kahāñ hotā hai
kuchh ḳhabar hai tujhe 'maġhmūm' ki tujh sā shā.ir
laakh gumnām ho gumnām kahāñ hotā hai
chain dam bhar ko sar-e-sham kahan hota hai
dil sulagta ho to aaram kahan hota hai
nargis-e-naz se jo mujh ko ata hota tha
ab mere hisse mein wo jam kahan hota hai
apni himmat hi se hoti hai shikayat mujh ko
shikwa-e-gardish-e-ayyam kahan hota hai
pyar wo khel nahin jis ka ho anjam ba-KHair
dil magar waqif-e-anjam kahan hota hai
aadatan sham ko uTh jati hain meri nazren
aur wo chand sar-e-baam kahan hota hai
dil hi dil mein main tera nam liya karta hun
mere honTon pe tera nam kahan hota hai
rah-e-dushwar-e-wafa zer-e-qadam hai lekin
hausla dil ko bahar-gam kahan hota hai
iltifat ek baDa wasf hai sab jaante hain
ye magar shewa-e-asnam kahan hota hai
kis ko milti hai yahan husn-shanasi yaro
tohfa-e-zauq-e-nazar aam kahan hota hai
kuchh KHabar hai tujhe 'maghmum' ki tujh sa shair
lakh gumnam ho gumnam kahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.