chain de kar dard ka sauda kiya
chain de kar dard kā saudā kiyā
ai dil-e-nādāñ ye tū ne kyā kiyā
zindagī ho jaise muflis kī davā
sar Dhakā to paañv bāhar ho gayā
kal talak ābād thā ye gulsitāñ
kis kī vahshat ne use sahrā kiyā
har taraf girdāb se bante rahe
jhiil se sāhil ko āḳhir kyā milā
merā haadī aur murshid merā dil
gyaan jo mujh ko milā us se milā
zulm kī purvā.iyāñ jab bhī chalīñ
dard-e-pinhāñ sher meñ nāzil huā
ḳhushnumā thī ārzūoñ kī salīb
jis se 'aḳhtar' umr-bhar laTkā rahā
chain de kar dard ka sauda kiya
ai dil-e-nadan ye tu ne kya kiya
zindagi ho jaise muflis ki dawa
sar Dhaka to panw bahar ho gaya
kal talak aabaad tha ye gulsitan
kis ki wahshat ne use sahra kiya
har taraf girdab se bante rahe
jhil se sahil ko aaKHir kya mila
mera hadi aur murshid mera dil
gyan jo mujh ko mila us se mila
zulm ki purwaiyan jab bhi chalin
dard-e-pinhan sher mein nazil hua
KHushnuma thi aarzuon ki salib
jis se 'aKHtar' umr-bhar laTka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.