chain furqat mein kabhi sham-o-sahar ne na diya
chain furqat meñ kabhī shām-o-sahar ne na diyā
dard-e-dil ne to kabhī dard-e-jigar ne na diyā
jab bhī aaya hai tirī zulf-e-pareshāñ kā ḳhayāl
merī suljhī huī fikroñ ko sañvarne na diyā
the pareshāñ to bahut umr-e-ravāñ ke aurāq
ham ne shīrāza-e-ulfat ko bikharne na diyā
imtihāñ zarf kā rindoñ ke rahā pesh-e-nazar
aaj saaqī ne kisī jaam ko bharne na diyā
shām-e-furqat kī havā.eñ to balā ban ke rahīñ
muzhda-e-vasl kabhī bād-e-sahar ne na diyā
aa gayā sabr-o-tavakkul na rahī hirs-o-havas
be-zarī ne vo diyā mujh ko jo zar ne na diyā
chalte rahte haiñ yūñhī rāh-e-vafā meñ 'sāqib'
ab bhī manzil kā pata rāh-guzar ne na diyā
chain furqat mein kabhi sham-o-sahar ne na diya
dard-e-dil ne to kabhi dard-e-jigar ne na diya
jab bhi aaya hai teri zulf-e-pareshan ka KHayal
meri suljhi hui fikron ko sanwarne na diya
the pareshan to bahut umr-e-rawan ke auraq
hum ne shiraaza-e-ulfat ko bikharne na diya
imtihan zarf ka rindon ke raha pesh-e-nazar
aaj saqi ne kisi jam ko bharne na diya
sham-e-furqat ki hawaen to bala ban ke rahin
muzhda-e-wasl kabhi baad-e-sahar ne na diya
aa gaya sabr-o-tawakkul na rahi hirs-o-hawas
be-zari ne wo diya mujh ko jo zar ne na diya
chalte rahte hain yunhi rah-e-wafa mein 'saqib'
ab bhi manzil ka pata rah-guzar ne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.