chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabraega
chain ho yā bechainī ho pahle dil ghabrā.egā
jaate jaate jā.egī aate aate aa.egā
qāsid aane jaane meñ thak thak kar ghabrā.egā
jā.egā phir aa.egā aa.egā phir jā.egā
DhūñDne vaalī nazroñ nazroñ dekheñge pahlū kī taraf
un kī is dil-jūī par merā dil itrā.egā
dil meñ ummīdeñ lākhoñ thiiñ kuchh niklīñ haiñ kuchh baaqī haiñ
ḳhair kabhī phir aaoge phir kabhī dekhā jā.egā
dair-o-haram ke mālik se ham kuchh māñgeñ bhī to sahī
hai vo baḌā dene vaalā degā yā dilvā.egā
dil ke ḳhud āzār-o-alam dil kī qadr baḌhā.eñge
hogā ye iksīr magar ḳhaak meñ jab mil jā.egā
nāseh aane vaalā hai do hī bāteñ honī haiñ
yā use ham samjhā.eñge yā vo hameñ samjhā.egā
shikva-e-ġham kī mahshar meñ ham ko to ummīd nahīñ
sāmne vo aa jā.eñge hosh kise rah jā.egā
dil dene vaalā ġham se chhuT jā.egā dil de kar
dil lene vaalā dil meñ dil le kar pachhtā.egā
'nūh' ke rone par hañsnā bedardoñ kā ḳhvāb nahīñ
bahr-e-mohabbat meñ is se aur bhī tūfān aa.egā
chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabraega
jate jate jaegi aate aate aaega
qasid aane jaane mein thak thak kar ghabraega
jaega phir aaega aaega phir jaega
DhunDne wali nazron nazron dekhenge pahlu ki taraf
un ki is dil-jui par mera dil itraega
dil mein ummiden lakhon thin kuchh niklin hain kuchh baqi hain
KHair kabhi phir aaoge phir kabhi dekha jaega
dair-o-haram ke malik se hum kuchh mangen bhi to sahi
hai wo baDa dene wala dega ya dilwaega
dil ke KHud aazar-o-alam dil ki qadr baDhaenge
hoga ye iksir magar KHak mein jab mil jaega
naseh aane wala hai do hi baaten honi hain
ya use hum samjhaenge ya wo hamein samjhaega
shikwa-e-gham ki mahshar mein hum ko to ummid nahin
samne wo aa jaenge hosh kise rah jaega
dil dene wala gham se chhuT jaega dil de kar
dil lene wala dil mein dil le kar pachhtaega
'nuh' ke rone par hansna bedardon ka KHwab nahin
bahr-e-mohabbat mein is se aur bhi tufan aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.