chain wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
chain wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
chain vo ishq meñ paa.e haiñ ki jī jāntā hai
dard dukh bhī vo uThā.e haiñ ki jī jāntā hai
yaad aatī haiñ javānī kī bahāreñ ab tak
vo maze ham ne uḌaa.e haiñ ki jī jāntā hai
haañ duā bhī kabhī lī hogī kisī ke dil kī
tum ne dil bhī vo dukhā.e haiñ ki jī jāntā hai
vo lajāte hue sharmāte hue bazm meñ aaj
is tarah sāmne aa.e haiñ ki jī jāntā hai
haañ kaleje bhī kiye hoñge kisī ke ThanDe
tum ne jī bhī vo jalā.e haiñ ki jī jāntā hai
chhiḌ ga.ī bahs khulī un pe jo dil kī chorī
is tarah aañkh churā.e haiñ ki jī jāntā hai
ġhair to ġhair hī haiñ ishq meñ dekhā sab ko
apne bhī aise parā.e haiñ ki jī jāntā hai
aap ke pyaar se aġhyār ne kyā kyā na kiyā
vo vo tūfān uThā.e haiñ ki jī jāntā hai
rakh ke aġhyār pe mahfil meñ vo taan o tashnī.a
is tarah mujh ko sunā.e haiñ ki jī jāntā hai
'lutf' ham us but-e-saffāk ke kūche se aaj
bach kar is tarah se aa.e haiñ ki jī jāntā hai
chain wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
dard dukh bhi wo uThae hain ki ji jaanta hai
yaad aati hain jawani ki bahaaren ab tak
wo maze hum ne uDae hain ki ji jaanta hai
han dua bhi kabhi li hogi kisi ke dil ki
tum ne dil bhi wo dukhae hain ki ji jaanta hai
wo lajate hue sharmate hue bazm mein aaj
is tarah samne aae hain ki ji jaanta hai
han kaleje bhi kiye honge kisi ke ThanDe
tum ne ji bhi wo jalae hain ki ji jaanta hai
chhiD gai bahs khuli un pe jo dil ki chori
is tarah aankh churae hain ki ji jaanta hai
ghair to ghair hi hain ishq mein dekha sab ko
apne bhi aise parae hain ki ji jaanta hai
aap ke pyar se aghyar ne kya kya na kiya
wo wo tufan uThae hain ki ji jaanta hai
rakh ke aghyar pe mahfil mein wo tan o tashnia
is tarah mujh ko sunae hain ki ji jaanta hai
'lutf' hum us but-e-saffak ke kuche se aaj
bach kar is tarah se aae hain ki ji jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.