chakkhoge agar pyas baDha dega ye pani
chakkhoge agar pyaas baḌhā degā ye paanī
paanī tumheñ hargiz na 'sabā' degā ye paanī
ik roz Dubo degā mire jism kī kashtī
mujh se mujhe āzād karā degā ye paanī
pahuñchegā sarāboñ kā vahāñ bhes badal kar
sahrā meñ bhī har lamha sadā degā ye paanī
barsegā to ḳhushbū yahāñ miTTī se uḌegī
siine meñ mire aag lagā degā ye paanī
patthar se kisī roz miTā kar 'sabā' tum ko
paanī pe hī ik naqsh banā degā ye paanī
chakkhoge agar pyas baDha dega ye pani
pani tumhein hargiz na 'saba' dega ye pani
ek roz Dubo dega mere jism ki kashti
mujh se mujhe aazad kara dega ye pani
pahunchega sarabon ka wahan bhes badal kar
sahra mein bhi har lamha sada dega ye pani
barsega to KHushbu yahan miTTi se uDegi
sine mein mere aag laga dega ye pani
patthar se kisi roz miTa kar 'saba' tum ko
pani pe hi ek naqsh bana dega ye pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.