chal base jo ki the jaane wale
chal base jo ki the jaane vaale
ab nahīñ phir ke vo aane vaale
mujh ko dikhlā de mirā aḳhtar-e-baḳht
chāñd sūraj ke banāne vaale
log kahte haiñ tumheñ rāhat-e-jān
tum to ho dil ke dikhāne vaale
ham se aur bār-e-musībat uTThe
ham to haiñ naaz uThāne vaale
terī rahmat hai ġhazab par ġhālib
roz-e-mahshar ke Darāne vaale
kabhī bhūle se idhar bhī aa jā
suune fitne ke jagāne vaale
dil bhī mal Daal kabhī 'anjum' kā
are mehñdī ke lagāne vaale
chal base jo ki the jaane wale
ab nahin phir ke wo aane wale
mujh ko dikhla de mera aKHtar-e-baKHt
chand suraj ke banane wale
log kahte hain tumhein rahat-e-jaan
tum to ho dil ke dikhane wale
hum se aur bar-e-musibat uTThe
hum to hain naz uThane wale
teri rahmat hai ghazab par ghaalib
roz-e-mahshar ke Darane wale
kabhi bhule se idhar bhi aa ja
sune fitne ke jagane wale
dil bhi mal Dal kabhi 'anjum' ka
are mehndi ke lagane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.