chal kahin dur zamane se udhar milte hain
chal kahīñ duur zamāne se udhar milte haiñ
jism ke ā.ina-ḳhāne se udhar milte haiñ
ḳhuld-āsār hai goyā ye tirā shahr-e-ḳhayāl
kaise rangīn fasāne se udhar milte haiñ
dil dafīne ko kabhī khoj navādir kitne
vaqt kī gard haTāne se udhar milte haiñ
yak-ba-yak dhuñdle hue jaate haiñ saare manzar
aur phir tiir nishāne se udhar milte haiñ
ik jazīra hai ki kho.e hue hairat-zadagāñ
sirf āvāz lagāne se udhar milte haiñ
chal kahin dur zamane se udhar milte hain
jism ke aaina-KHane se udhar milte hain
KHuld-asar hai goya ye tera shahr-e-KHayal
kaise rangin fasane se udhar milte hain
dil dafine ko kabhi khoj nawadir kitne
waqt ki gard haTane se udhar milte hain
yak-ba-yak dhundle hue jate hain sare manzar
aur phir tir nishane se udhar milte hain
ek jazira hai ki khoe hue hairat-zadagan
sirf aawaz lagane se udhar milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.