chal paDe ho to zara dhyan rahe ham-safaro
chal paḌe ho to zarā dhyān rahe ham-safaro
vāpsī kā safar āsān rahe ham-safaro
haath meñ haath liye ham ne safar karnā hai
aur bichhaḌne kā bhī imkān rahe ham-safaro
aao kuchh der to sustā.eñ ghanī chhāoñ meñ
in daraḳhtoñ kā bhī kuchh maan rahe ham-safaro
paañv hote haiñ to shal hone do in rastoñ par
aañkh rahtī hai to hairān rahe ham-safaro
ham kahīñ aur nikal aa.e haiñ chalte chalte
duur sarsoñ bhare maidān rahe ham-safaro
chal paDe ho to zara dhyan rahe ham-safaro
wapsi ka safar aasan rahe ham-safaro
hath mein hath liye hum ne safar karna hai
aur bichhaDne ka bhi imkan rahe ham-safaro
aao kuchh der to sustaen ghani chhaon mein
in daraKHton ka bhi kuchh man rahe ham-safaro
panw hote hain to shal hone do in raston par
aankh rahti hai to hairan rahe ham-safaro
hum kahin aur nikal aae hain chalte chalte
dur sarson bhare maidan rahe ham-safaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.