chal rahe hain ek hi jaanib ko dariya aur hum
chal rahe haiñ ek hī jānib ko dariyā aur ham
jaise sarsar aur pattā jaise kurtā aur ham
shahr-bhar meñ ek bhī mahfūz chhat dekhī nahīñ
sar chhupāte phir rahe haiñ ek chiḌiyā aur ham
āb-o-gil kī hukmrānī kī qabā ke vāste
laḌ rahe haiñ kab se ik nangā farishta aur ham
be-karāñ zulmāt kī rātoñ se jīteñge bhalā
chand jugnū ek nanhā sā sitārā aur ham
bhuul bhī jaate haiñ ham donoñ ki jaanā hai kahāñ
itne be-ḳhud mil ke ho jaate haiñ rastā aur ham
chal rahe hain ek hi jaanib ko dariya aur hum
jaise sarsar aur patta jaise kurta aur hum
shahr-bhar mein ek bhi mahfuz chhat dekhi nahin
sar chhupate phir rahe hain ek chiDiya aur hum
aab-o-gil ki hukmrani ki qaba ke waste
laD rahe hain kab se ek nanga farishta aur hum
be-karan zulmat ki raaton se jitenge bhala
chand jugnu ek nanha sa sitara aur hum
bhul bhi jate hain hum donon ki jaana hai kahan
itne be-KHud mil ke ho jate hain rasta aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.