chal tu jita man liya na aa tu mujhko haara dekh
chal tū jiitā maan liyā nā aa tū mujh ko haarā dekh
maiñ qismat vaale ko dekhūñ tū qismat kā maarā dekh
tūfāñ sar par mañDlā.e hai kitnī duur kināra dekh
maiñ kashtī kī hālat dekhūñ tū dariyā kā dhārā dekh
sar par aag ugaltā sūraj paañv tale angāra dekh
apnī duniyā piiTh pe laade niklā ik banjārā dekh
majbūrī meñ hañstā joker pyāsā hāthī bhūke sher
ab circus meñ baiTh jā pyāre khel tamāshā saarā dekh
band gharoñ meñ baiTh ke mat kar tū zulf-o-ruḳhsār kī baat
ḳhanjar merī gardan par hai khiḌkī khol nazāra dekh
bhuul ga.e kyā qasmeñ va.ade saath meñ ham ko chalnā thā
raah badalnī hai kyā tujh ko jā pahle kaffāra dekh
masnad par kyoñ dekh rahā hai ġhaur se apne hāthoñ ko
kyā dāman bhī dekh liyā hai phir se dekh dobāra dekh
terī saf meñ kaun hai apnā kaun munāfiq dekh to le
khanak rahī talvār kā hogā lahja ek ishāra dekh
rishte-nāte zaḳhmī ho ga.e is dīvār ke saa.e meñ
sadiyoñ ke pushtainī ghar meñ āñgan kā baTvārā dekh
itnī duur falak kī jānib gardan moḌ ke taknā kyā
ghar ke ek diye meñ raushan sūraj chāñd sitāra dekh
chal tu jita man liya na aa tu mujh ko haara dekh
main qismat wale ko dekhun tu qismat ka mara dekh
tufan sar par manDlae hai kitni dur kinara dekh
main kashti ki haalat dekhun tu dariya ka dhaara dekh
sar par aag ugalta suraj panw tale angara dekh
apni duniya piTh pe lade nikla ek banjara dekh
majburi mein hansta joker pyasa hathi bhuke sher
ab circus mein baiTh ja pyare khel tamasha sara dekh
band gharon mein baiTh ke mat kar tu zulf-o-ruKHsar ki baat
KHanjar meri gardan par hai khiDki khol nazara dekh
bhul gae kya qasmen wade sath mein hum ko chalna tha
rah badalni hai kya tujh ko ja pahle kaffara dekh
masnad par kyon dekh raha hai ghaur se apne hathon ko
kya daman bhi dekh liya hai phir se dekh dobara dekh
teri saf mein kaun hai apna kaun munafiq dekh to le
khanak rahi talwar ka hoga lahja ek ishaara dekh
rishte-nate zaKHmi ho gae is diwar ke sae mein
sadiyon ke pushtaini ghar mein aangan ka baTwara dekh
itni dur falak ki jaanib gardan moD ke takna kya
ghar ke ek diye mein raushan suraj chand sitara dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.