chala hun chand qadam aur bhaTak gaya hun main
chalā huuñ chand qadam aur bhaTak gayā huuñ maiñ
mujhe ye zo'm thā manzil se āshnā huuñ maiñ
ḳhushī se ḳhauf-zada huuñ gurez-pā huuñ maiñ
ġhamoñ ko apnā muqaddar samajh rahā huuñ maiñ
jahāñ junūñ ke sivā aur koī raah nahīñ
shu’ūr-o-fikr ke us moḌ par khaḌā huuñ maiñ
har ek shai ko samajhne kī justujū thī mujhe
ḳhud apnī zaat meñ gum ho ke rah gayā huuñ maiñ
rafīq-e-ḳhās hai barsoñ se merī tanhā.ī
kisī ne mujh ko pukārā to Dar gayā huuñ maiñ
na jaane kaun sā jhoñkā havā kā gul kar de
abhī to ye hai ki jaltā huā diyā huuñ maiñ
hayāt ho ga.ī mahrūmiyoñ ke naam 'afzal'
navā-e-nāla huuñ maiñ āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
chala hun chand qadam aur bhaTak gaya hun main
mujhe ye zo'm tha manzil se aashna hun main
KHushi se KHauf-zada hun gurez-pa hun main
ghamon ko apna muqaddar samajh raha hun main
jahan junun ke siwa aur koi rah nahin
shu’ur-o-fikr ke us moD par khaDa hun main
har ek shai ko samajhne ki justuju thi mujhe
KHud apni zat mein gum ho ke rah gaya hun main
rafiq-e-KHas hai barson se meri tanhai
kisi ne mujh ko pukara to Dar gaya hun main
na jaane kaun sa jhonka hawa ka gul kar de
abhi to ye hai ki jalta hua diya hun main
hayat ho gai mahrumiyon ke nam 'afzal'
nawa-e-nala hun main aah-e-na-rasa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.