chala sair-e-gul ko wo sarw-qad to chaman chaman tha nikhaar par
chala sair-e-gul ko wo sarw-qad to chaman chaman tha nikhaar par
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
chalā sair-e-gul ko vo sarv-qad to chaman chaman thā nikhār par
gul-o-ġhuncha baqqa-e-nūr the thā gumān-e-barq bahār par
yahī be-sabātī-e-gulsitāñ thī jabīn-e-gul pe ravāñ-davāñ
na samajh sake ise nukta-dāñ ki ḳhizāñ kā daañt bahār par
mire dam se hast hai buud hai mire naam se ye numūd hai
ye nizām-e-dahr hai raqs meñ mire sāz-e-hastī ke taar par
sar-e-shām-e-vā'da haiñ hasrateñ kabhī rūh-e-dil kabhī jān-e-jāñ
dam-e-sub.h barsegī be-kasī inhīñ hasratoñ ke mazār par
ye ġhalat ki ruḳh pe naqāb thā ye takallufāna hijāb thā
vo to bikhrī bikhrī nigāh thī dam-e-dīd chehra-e-yār par
ye to apnā apnā mazāq thā yahāñ 'aql-o-hosh kā daḳhl kyā
koī jī uThā tire zulm par koī mar-miTā tire pyaar par
zahe fikr-e-'zāhir'-e-'haidarī' ye zamīn aisī ġhazal kahī
haiñ tamām she'r shagufta-tar inheñ fauqiyat hai bahār par
chala sair-e-gul ko wo sarw-qad to chaman chaman tha nikhaar par
gul-o-ghuncha baqqa-e-nur the tha guman-e-barq bahaar par
yahi be-sabaati-e-gulsitan thi jabin-e-gul pe rawan-dawan
na samajh sake ise nukta-dan ki KHizan ka dant bahaar par
mere dam se hast hai bud hai mere nam se ye numud hai
ye nizam-e-dahr hai raqs mein mere saz-e-hasti ke tar par
sar-e-sham-e-wa'da hain hasraten kabhi ruh-e-dil kabhi jaan-e-jaan
dam-e-subh barsegi be-kasi inhin hasraton ke mazar par
ye ghalat ki ruKH pe naqab tha ye takallufana hijab tha
wo to bikhri bikhri nigah thi dam-e-did chehra-e-yar par
ye to apna apna mazaq tha yahan 'aql-o-hosh ka daKHl kya
koi ji uTha tere zulm par koi mar-miTa tere pyar par
zahe fikr-e-'zahir'-e-'haidari' ye zamin aisi ghazal kahi
hain tamam she'r shagufta-tar inhen fauqiyat hai bahaar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.