chala un ka jadu magar rafta rafta
chalā un kā jaadū magar rafta rafta
huā ham pe un kā asar rafta rafta
pareshāñ hue vo udhar rafta rafta
taḌapte rahe ham idhar rafta rafta
kiyā 'ishq ne un ke phir mujh ko ghāyal
huā merā chhalnī jigar rafta rafta
taḌap kar hī guzrī haiñ furqat kī rāteñ
huī 'ishq kī phir sahar rafta rafta
taḌap uTh rahī hai yahāñ donoñ jānib
idhar rafta rafta udhar rafta rafta
mirā kaam hai biij bonā to bo luuñ
yaqīnan lageñge samar rafta rafta
nayā rāstā 'ishq kā hai ye 'ātif'
chalo is pe tum bhī magar rafta rafta
chala un ka jadu magar rafta rafta
hua hum pe un ka asar rafta rafta
pareshan hue wo udhar rafta rafta
taDapte rahe hum idhar rafta rafta
kiya 'ishq ne un ke phir mujh ko ghayal
hua mera chhalni jigar rafta rafta
taDap kar hi guzri hain furqat ki raaten
hui 'ishq ki phir sahar rafta rafta
taDap uTh rahi hai yahan donon jaanib
idhar rafta rafta udhar rafta rafta
mera kaam hai bij bona to bo lun
yaqinan lagenge samar rafta rafta
naya rasta 'ishq ka hai ye 'atif'
chalo is pe tum bhi magar rafta rafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.