chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata
chalan is doġhlī duniyā kā gar manzūr ho jaatā
vo mujh se duur ho jaatā maiñ us se duur ho jaatā
hunar hāthoñ se chikne kā bachā kar le gayā mujh ko
bharose paañv ke rahtā to maiñ ma.azūr ho jaatā
zamāne-bhar kī bātoñ ko agar dil se lagā letā
jahāñ pe dil dhaḌaktā hai vahāñ nāsūr ho jaatā
safar karte hue apnā haTā kar aañkh se paTTī
maiñ sañg-e-mīl jo paḌhtā thakan se chuur ho jaatā
ye 'fānī' dil kī suntā hai tabhī gumnām hai ab tak
agar ye zehn kī suntā bahut mash.hūr ho jaatā
chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata
wo mujh se dur ho jata main us se dur ho jata
hunar hathon se chikne ka bacha kar le gaya mujh ko
bharose panw ke rahta to main mazur ho jata
zamane-bhar ki baaton ko agar dil se laga leta
jahan pe dil dhaDakta hai wahan nasur ho jata
safar karte hue apna haTa kar aankh se paTTi
main sang-e-mil jo paDhta thakan se chur ho jata
ye 'fani' dil ki sunta hai tabhi gumnam hai ab tak
agar ye zehn ki sunta bahut mashhur ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.