chale gae wahi ki jin se ghar ki aan-ban thi
chale ga.e vahī ki jin se ghar kī ān-bān thī
makīn ke vujūd se hī raunaq-e-makān thī
phirūñ na kyoñ talāsh meñ galī galī nagar nagar
jo chiiz kho ga.ī kahīñ vahī matā’-e-jān thī
jo saañs khīñchne ko aañkh muuñd lī agar to kyā
thī ziist be-mazā to kuchh safar kī bhī takān thī
ḳhadang-e-jasta kā gumāñ thā charḳh-e-sīna-soz par
uThī nigāh to sajī falak pe ik kamān thī
shab-e-firāq kī sahar kā pūchhte ho kyā mujhe
sisak rahī thī sub.h aur fazā lahūluhān thī
huā na farq merī aur dastān-e-sham’ meñ
guzar ga.ī jo 'umr vo shadīd imtihān thī
huā hai raaz āshkār nāma-bar nahīñ to kyā
na muñh se kuchh kahā to kyā vo aañkh hī zabān thī
chale gae wahi ki jin se ghar ki aan-ban thi
makin ke wujud se hi raunaq-e-makan thi
phirun na kyon talash mein gali gali nagar nagar
jo chiz kho gai kahin wahi mata’-e-jaan thi
jo sans khinchne ko aankh mund li agar to kya
thi zist be-maza to kuchh safar ki bhi takan thi
KHadang-e-jasta ka guman tha charKH-e-sina-soz par
uThi nigah to saji falak pe ek kaman thi
shab-e-firaq ki sahar ka puchhte ho kya mujhe
sisak rahi thi subh aur faza lahuluhan thi
hua na farq meri aur dastan-e-sham’ mein
guzar gai jo 'umr wo shadid imtihan thi
hua hai raaz aashkar nama-bar nahin to kya
na munh se kuchh kaha to kya wo aankh hi zaban thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.