chale hi jaegi kya dard ki kaTari bhala
Interesting Fact
1964
chale hī jā.egī kyā dard kī kaTārī bhalā
rahegī saath kahāñ tak ye āh-o-zārī bhalā
jahāñ ḳhulūs kī azmat samajh sake na koī
is anjuman meñ ho kyā qadr-e-jāñ-nisārī bhalā
sahī na jā.egī ab ham se ye firāq kī aag
akele sulgeñ kahāñ tak tire pujārī bhalā
nafas nafas meñ jo tahlīl ho chukā vo ġham
chhupā.e kaise tabassum kī parda-dārī bhalā
baḌhā jo zabt hadoñ se to ḳhud khuleñge hoñT
rahegā bazm pe kab tak sukūt taarī bhalā
chalo yahāñ se bhī 'anjum' ko baiThne degī
kahāñ sukūn se ye dil kī be-qarārī bhalā
chale hi jaegi kya dard ki kaTari bhala
rahegi sath kahan tak ye aah-o-zari bhala
jahan KHulus ki azmat samajh sake na koi
is anjuman mein ho kya qadr-e-jaan-nisari bhala
sahi na jaegi ab hum se ye firaq ki aag
akele sulgen kahan tak tere pujari bhala
nafas nafas mein jo tahlil ho chuka wo gham
chhupae kaise tabassum ki parda-dari bhala
baDha jo zabt hadon se to KHud khulenge honT
rahega bazm pe kab tak sukut tari bhala
chalo yahan se bhi 'anjum' ko baiThne degi
kahan sukun se ye dil ki be-qarari bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.