chale the wo so rah-e-ishq ko dushwar kahte the
chale the vo so rāh-e-ishq ko dushvār kahte the
na ham ne ik sunī un kī hamāre yaar kahte the
vo kahte the hameñ tum se mohabbat hai mohabbat hai
aur aisā ik nahīñ dasyoñ hazāroñ baar kahte the
hamāre saikḌoñ dukh the aur us meñ ek dukh ye bhī
jo ham se ho ke guzre the hameñ dīvār kahte the
baḌe shahroñ kī jānib kuuch karnā be-vaqūfī hai
hamāre gaañv meñ kuchh log the hushiyār kahte the
ḳhudā ne bhī kahānī is tarah is saal kī likkhī
kahānī-kār ham ko baḳhsh de kirdār kahte the
bhale hī pyaar ho yā hijr ho yā phir siyāsat ho
kuchh aise dost the har baat par ash.ār kahte the
shifā maujūd thī us kī nazar meñ har maraz kī so
karishma-sāz ham ko dekh le bīmār kahte the
chale the wo so rah-e-ishq ko dushwar kahte the
na hum ne ek suni un ki hamare yar kahte the
wo kahte the hamein tum se mohabbat hai mohabbat hai
aur aisa ek nahin dasyon hazaron bar kahte the
hamare saikDon dukh the aur us mein ek dukh ye bhi
jo hum se ho ke guzre the hamein diwar kahte the
baDe shahron ki jaanib kuch karna be-waqufi hai
hamare ganw mein kuchh log the hushiyar kahte the
KHuda ne bhi kahani is tarah is sal ki likkhi
kahani-kar hum ko baKHsh de kirdar kahte the
bhale hi pyar ho ya hijr ho ya phir siyasat ho
kuchh aise dost the har baat par ashaar kahte the
shifa maujud thi us ki nazar mein har maraz ki so
karishma-saz hum ko dekh le bimar kahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.