chalega kaun mere sath ham-safar ki tarah
chalegā kaun mire saath ham-safar kī tarah
kisī kī raah nahīñ merī rahguzar kī tarah
mire yaqīn kā is meñ qusūr hī kyā hai
fareb-sāz mile mujh ko mo'atabar kī tarah
na imtiyāz rahā kam-nazar zamāne ko
dikhā.ī dete haiñ sab aib bhī hunar kī tarah
vo koī shīsh-mahal ho ki qasr-e-shāhī ho
ġharīb ko na milegā sukūn ghar kī tarah
nahīñ ḳhulūs kā me.aar shahr meñ tere
yahāñ zamīr kā saudā hai māl-o-zar kī tarah
mile zarūr tire āstāñ ko sar lākhoñ
magar taḌap na kisī meñ hai mere sar kī tarah
chamakte kāñch ke TukḌe fareb dete haiñ
'nazar' ke sāmne aate haiñ vo guhar kī tarah
chalega kaun mere sath ham-safar ki tarah
kisi ki rah nahin meri rahguzar ki tarah
mere yaqin ka is mein qusur hi kya hai
fareb-saz mile mujh ko mo'atabar ki tarah
na imtiyaz raha kam-nazar zamane ko
dikhai dete hain sab aib bhi hunar ki tarah
wo koi shish-mahal ho ki qasr-e-shahi ho
gharib ko na milega sukun ghar ki tarah
nahin KHulus ka mear shahr mein tere
yahan zamir ka sauda hai mal-o-zar ki tarah
mile zarur tere aastan ko sar lakhon
magar taDap na kisi mein hai mere sar ki tarah
chamakte kanch ke TukDe fareb dete hain
'nazar' ke samne aate hain wo guhar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.