chalega nahin mujh pe fuqara tumhaara
chalegā nahīñ mujh pe fuqarā tumhārā
haTā lo ki ḳhanjar hai jhūTā tumhārā
manā.eñ to ab jaan de kar manā.eñ
qayāmat hai ye ruuTh jaanā tumhārā
baḌe sīdhe saade baḌe bhūle bhāle
koī dekhe is vaqt chehrā tumhārā
bachā hai jo sāġhar meñ kyuuñ pheñkte ho
hameñ de do ham pī leñ jhūTā tumhārā
ye kyā hai sabab aaj chup chup ho pyāre
batāo to kyuuñ jī hai kaisā tumhārā
uThāne paḌe ḳhaak se dil ke TukḌe
baḌā pyaar thā pyaar dekhā tumhārā
ḳhudā ke liye haañ nahīñ kuchh to kah do
ki muñh tak rahī hai tamannā tumhārā
'ilāj us ke bīmār kā tum karoge
kahīñ dil chalā hai masīhā tumhārā
chalā 'shā.ir'-e-zār taslīm lījiye
bhalā ho bhalā mere daatā tumhārā
chalega nahin mujh pe fuqara tumhaara
haTa lo ki KHanjar hai jhuTa tumhaara
manaen to ab jaan de kar manaen
qayamat hai ye ruTh jaana tumhaara
baDe sidhe sade baDe bhule bhaale
koi dekhe is waqt chehra tumhaara
bacha hai jo saghar mein kyun phenkte ho
hamein de do hum pi len jhuTa tumhaara
ye kya hai sabab aaj chup chup ho pyare
batao to kyun ji hai kaisa tumhaara
uThane paDe KHak se dil ke TukDe
baDa pyar tha pyar dekha tumhaara
KHuda ke liye han nahin kuchh to kah do
ki munh tak rahi hai tamanna tumhaara
'ilaj us ke bimar ka tum karoge
kahin dil chala hai masiha tumhaara
chala 'shair'-e-zar taslim lijiye
bhala ho bhala mere data tumhaara
- Book : Noquush (Pg. B-311 E-328)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.