chalegi jab mohabbat ki kabhi charcha mere pichhe
chalegī jab mohabbat kī kabhī charchā mire pīchhe
tumheñ bhī yaad aa.egā mirā chehra mire pīchhe
thakī āñkheñ bujhī sūrat magar ik hausla le kar
koī hai duur se chaltā huā aayā mire pīchhe
use maiñ nā-samajh samjhūñ nahīñ to aur kyā samjhūñ
mire hī ghar pe jaḌ aatā hai vo taalā mire pīchhe
jo us kī aañkh meñ sapnoñ meñ Dhal kar koī rahtā hai
to kaise saayā ban kar 'umr-bhar rahtā mire pīchhe
chalegi jab mohabbat ki kabhi charcha mere pichhe
tumhein bhi yaad aaega mera chehra mere pichhe
thaki aankhen bujhi surat magar ek hausla le kar
koi hai dur se chalta hua aaya mere pichhe
use main na-samajh samjhun nahin to aur kya samjhun
mere hi ghar pe jaD aata hai wo tala mere pichhe
jo us ki aankh mein sapnon mein Dhal kar koi rahta hai
to kaise saya ban kar 'umr-bhar rahta mere pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.