chali jaana hai sari aab-o-tab aahista aahista
chalī jaanā hai saarī āb-o-tāb āhista āhista
ki jaise ḳhatm hotī hai kitāb āhista āhista
yūñhī āhista āhista na jaane ham kahāñ pahuñcheñ
ki ham ne kar liyā sar māhtāb āhista āhista
zamāna kah rahā hai inqalāb aur mujh ko lagtā hai
chalī aatī hai mauj-e-iztirāb āhista āhista
agar hotī rahīñ ulTī yūñhī ḳhvāboñ kī ta.abīreñ
na āñkheñ tark kar deñ apne ḳhvāb āhista āhista
kahīñ ehsās-e-nākāmī na ho jis ke chhupāne ko
ye na.ara ho ham hoñge kāmyāb āhista āhista
uTho rū-posh hone jā rahe haiñ lafz urdu se
chhapā hai jis tarah lafz-e-shitāb āhista āhista
'sa.ādat' kaash koī fā.eda tū bhī uThā letā
ravāna ho gayā terā shabāb āhista āhista
chali jaana hai sari aab-o-tab aahista aahista
ki jaise KHatm hoti hai kitab aahista aahista
yunhi aahista aahista na jaane hum kahan pahunchen
ki hum ne kar liya sar mahtab aahista aahista
zamana kah raha hai inqalab aur mujh ko lagta hai
chali aati hai mauj-e-iztirab aahista aahista
agar hoti rahin ulTi yunhi KHwabon ki tabiren
na aankhen tark kar den apne KHwab aahista aahista
kahin ehsas-e-nakaami na ho jis ke chhupane ko
ye nara ho hum honge kaamyab aahista aahista
uTho ru-posh hone ja rahe hain lafz urdu se
chhapa hai jis tarah lafz-e-shitab aahista aahista
'saadat' kash koi faeda tu bhi uTha leta
rawana ho gaya tera shabab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.