chali jo KHud se kabhi ho ke bad-guman hawa
chalī jo ḳhud se kabhī ho ke bad-gumān havā
bikhar ke rah ga.ī galiyoñ ke darmiyān havā
ajab nahīñ ki diye se shikast khā ke bhī
charāġh-pā na huī ab ke bad-zabān havā
guzishta raat kī dahlīz par sisakte hue
sunā rahī thī havāoñ ko dāstān havā
havā.eñ bāñdh rahā thā jo ek muddat se
phir ek roz vahī ho gayā makān havā
na jaane dhāre kisī vaqt ruup āñdhī kā
nishān chhoḌ na jaa.e ye be-nishān havā
ab aisā lagtā hai sāhil se aa lageñge ham
uḌā ke le ga.ī apnā to bādbān havā
mujhe yaqīn hai ek roz mere āñgan meñ
bikher jā.egī ḳhushbū-e-za.afrān havā
chali jo KHud se kabhi ho ke bad-guman hawa
bikhar ke rah gai galiyon ke darmiyan hawa
ajab nahin ki diye se shikast kha ke bhi
charagh-pa na hui ab ke bad-zaban hawa
guzishta raat ki dahliz par sisakte hue
suna rahi thi hawaon ko dastan hawa
hawaen bandh raha tha jo ek muddat se
phir ek roz wahi ho gaya makan hawa
na jaane dhaare kisi waqt rup aandhi ka
nishan chhoD na jae ye be-nishan hawa
ab aisa lagta hai sahil se aa lagenge hum
uDa ke le gai apna to baadban hawa
mujhe yaqin hai ek roz mere aangan mein
bikher jaegi KHushbu-e-zafran hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.