chali na jae ye jaan tan ke daere se alag
chalī na jaa.e ye jaañ tan ke dā.ere se alag
mujhe na kījiye yuuñ apne āsare se alag
jo apnī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ ko pāltā hī nahīñ
haqīqatoñ ke jahāñ meñ hai vo sire se alag
hamāre dil meñ mohabbat muqīm hai ab bhī
qiyām-e-tāj-mahal kab thā aagre se alag
mirī nigāh meñ sikka har ek chehra hai
maiñ kar rahā huuñ abhī khoTe ko khare se alag
dil-o-dimāġh kī is kashmakash se baaz aa.e
hayāt chāhiye ham ko munāzre se alag
tarīqa aur bhī hai yaar se taḳhātub kā
ki lafz aur koī laao ai are se alag
vo ek shaḳhs jo har ghar kī baat kartā hai
use samajhtī hai duniyā mu'āshre se alag
chali na jae ye jaan tan ke daere se alag
mujhe na kijiye yun apne aasare se alag
jo apni aankhon mein KHwabon ko palta hi nahin
haqiqaton ke jahan mein hai wo sire se alag
hamare dil mein mohabbat muqim hai ab bhi
qiyam-e-taj-mahal kab tha aagre se alag
meri nigah mein sikka har ek chehra hai
main kar raha hun abhi khoTe ko khare se alag
dil-o-dimagh ki is kashmakash se baz aae
hayat chahiye hum ko munazre se alag
tariqa aur bhi hai yar se taKHatub ka
ki lafz aur koi lao ai are se alag
wo ek shaKHs jo har ghar ki baat karta hai
use samajhti hai duniya mu'ashre se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.