chalna unhen gawara nahin KHak-dan par
chalnā unheñ gavārā nahīñ ḳhāk-dān par
rakh de koī uThā ke zamīn āsmān par
jaise jahāñ meñ koī gunahgār hī nahīñ
bas ik hamārā naam hai sab kī zabān par
us ko bhī koī us kī tarah se na dhokā de
aa.e na aisā vaqt mire mehrbān par
ham to bas ik nigāh meñ pahchān jaate haiñ
chalte haiñ khoTe sikke kahāñ har dukān par
ḳhairāt apne husn kī sadqa jamāl kā
saa.il khaḌā huā hai tumhāre makān par
kī fikr jis ne jaan kī maarā gayā vahī
vo bach gayā jo khel gayā apnī jaan par
tūfāñ meñ 'ḳhizr' naav hai to kar ḳhudā ko yaad
itnā bharosā achchhā nahīñ bādbān par
chalna unhen gawara nahin KHak-dan par
rakh de koi uTha ke zamin aasman par
jaise jahan mein koi gunahgar hi nahin
bas ek hamara nam hai sab ki zaban par
us ko bhi koi us ki tarah se na dhoka de
aae na aisa waqt mere mehrban par
hum to bas ek nigah mein pahchan jate hain
chalte hain khoTe sikke kahan har dukan par
KHairaat apne husn ki sadqa jamal ka
sail khaDa hua hai tumhaare makan par
ki fikr jis ne jaan ki mara gaya wahi
wo bach gaya jo khel gaya apni jaan par
tufan mein 'KHizr' naw hai to kar KHuda ko yaad
itna bharosa achchha nahin baadban par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.