chalo aaj ye kaam kar ke bhi dekhen
chalo aaj ye kaam kar ke bhī dekheñ
hisār-e-badan se nikal ke bhī dekheñ
koī yaad dil par sihar kar rahī hai
pukāreñ use us se bach ke bhī dekheñ
sitāre ḳhamoshī lapeTe khaḌe haiñ
zarā un se kuchh baat kar ke bhī dekheñ
kahīñ dhuup aur na kahīñ koī saaya
ghane jangaloñ se nikal ke bhī dekheñ
vo patthar jo kone meñ sahmā paḌā hai
use ham chhueñ aur Dar ke bhī dekheñ
kabhī ik qadam us ke kūche se nikleñ
kabhī do qadam aage baḌh ke bhī dekheñ
na jaane yahāñ kaun kis se baḌā hai
ye do chaar ziine utar ke bhī dekheñ
pahāḌī pe chaḌhnā to mushkil thā yaaro
pahāḌī se nīche phisal ke bhī dekheñ
ye kahtī hai duniyā zamāna hai zālim
zamāne pe ik paaoñ dhar ke bhī dekheñ
vahī ek motī vahī ek motī
samundar kī tah meñ utar ke bhī dekheñ
tirī rahguzar kab se suunī paḌī hai
gireñ us pe aur phir sañbhal ke bhī dekheñ
ajab kyā sabā koī paiġhām laa.e
gharoñ meñ ḳhud apne sañvar ke bhī dekheñ
huī ḳhaak jal kar mirī be-navā.ī
vahī ḳhaak āñkhoñ meñ bhar ke bhī dekheñ
chalo aaj ye kaam kar ke bhi dekhen
hisar-e-badan se nikal ke bhi dekhen
koi yaad dil par sihar kar rahi hai
pukaren use us se bach ke bhi dekhen
sitare KHamoshi lapeTe khaDe hain
zara un se kuchh baat kar ke bhi dekhen
kahin dhup aur na kahin koi saya
ghane jangalon se nikal ke bhi dekhen
wo patthar jo kone mein sahma paDa hai
use hum chhuen aur Dar ke bhi dekhen
kabhi ek qadam us ke kuche se niklen
kabhi do qadam aage baDh ke bhi dekhen
na jaane yahan kaun kis se baDa hai
ye do chaar zine utar ke bhi dekhen
pahaDi pe chaDhna to mushkil tha yaro
pahaDi se niche phisal ke bhi dekhen
ye kahti hai duniya zamana hai zalim
zamane pe ek paon dhar ke bhi dekhen
wahi ek moti wahi ek moti
samundar ki tah mein utar ke bhi dekhen
teri rahguzar kab se suni paDi hai
giren us pe aur phir sanbhal ke bhi dekhen
ajab kya saba koi paigham lae
gharon mein KHud apne sanwar ke bhi dekhen
hui KHak jal kar meri be-nawai
wahi KHak aankhon mein bhar ke bhi dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.