chalo ab waqt ko bhi waqt de kar dekh lete hain
chalo ab vaqt ko bhī vaqt de kar dekh lete haiñ
kahāñ par kaun hai kis kā ye ḳhūgar dekh lete haiñ
hameñ āñkhoñ hī āñkhoñ se abhī kuchh baat karnī hai
zarā sā rok kar in meñ samundar dekh lete haiñ
duā.eñ apne hisse kī sabhī to maañg liiñ ham ne
bachī haiñ kis ke hisse kī ye andar dekh lete haiñ
yahāñ apne hī hisse kī jo ḳhushiyāñ bāñTne aaya
hai itnā kaun duniyā meñ tavangar dekh lete haiñ
kisī se bhī mohabbat kyoñ use ab ho nahīñ saktī
zamīñ dil kī kahāñ tak hai ye banjar dekh lete haiñ
zamīñ aur āsmāñ ko ham zarā khangāl kar phir se
kahāñ par raqs kartā hai qalandar dekh lete haiñ
raqīboñ aur yāroñ ko yahāñ 'nāsir' bulā kar ham
hai kis kī āstīñ meñ aaj ḳhanjar dekh lete haiñ
chalo ab waqt ko bhi waqt de kar dekh lete hain
kahan par kaun hai kis ka ye KHugar dekh lete hain
hamein aankhon hi aankhon se abhi kuchh baat karni hai
zara sa rok kar in mein samundar dekh lete hain
duaen apne hisse ki sabhi to mang lin hum ne
bachi hain kis ke hisse ki ye andar dekh lete hain
yahan apne hi hisse ki jo KHushiyan banTne aaya
hai itna kaun duniya mein tawangar dekh lete hain
kisi se bhi mohabbat kyon use ab ho nahin sakti
zamin dil ki kahan tak hai ye banjar dekh lete hain
zamin aur aasman ko hum zara khangal kar phir se
kahan par raqs karta hai qalandar dekh lete hain
raqibon aur yaron ko yahan 'nasir' bula kar hum
hai kis ki aastin mein aaj KHanjar dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.