chalo dil ki kahani ko mukammal kar diya jae
chalo dil kī kahānī ko mukammal kar diyā jaa.e
bachī hai jo jagah ḳhālī use bhī bhar diyā jaa.e
kare ab pyaar kā iqrār yā inkār kar de vo
mohabbat ke liye iz.hār us se kar diyā jaa.e
nigāhoñ se chhalaktā hai ajab hai ishq kā qissa
chhalakne ko zarūrī hai ragoñ meñ bhar diyā jaa.e
hamārī aañkh se kahne lage haiñ ḳhvāb ro-ro kar
bhaTakte phir rahe haiñ ham hameñ bhī ghar diyā jaa.e
jidhar dekhūñ udhar hī rahzanoñ kī bhiiḌ hai maulā
safar meñ saath chalne ko mujhe rahbar diyā jaa.e
nahīñ ye sochnā is khel meñ kyā faisla hogā
lagā lī shart to ab okhlī meñ sar diyā jaa.e
chalo dil ki kahani ko mukammal kar diya jae
bachi hai jo jagah KHali use bhi bhar diya jae
kare ab pyar ka iqrar ya inkar kar de wo
mohabbat ke liye izhaar us se kar diya jae
nigahon se chhalakta hai ajab hai ishq ka qissa
chhalakne ko zaruri hai ragon mein bhar diya jae
hamari aankh se kahne lage hain KHwab ro-ro kar
bhaTakte phir rahe hain hum hamein bhi ghar diya jae
jidhar dekhun udhar hi rahzanon ki bhiD hai maula
safar mein sath chalne ko mujhe rahbar diya jae
nahin ye sochna is khel mein kya faisla hoga
laga li shart to ab okhli mein sar diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.