chalo duniya se milna chhoD denge
chalo duniyā se milnā chhoḌ deñge
magar ham aa.ine se kyā kaheñge
chaleñge raushnī hogī jahāñ tak
phir is ke ba.ad tujh se aa mileñge
yahāñ kuchh bastiyāñ thiiñ ab se pahle
milā koī to ye bhī pūchh leñge
ye saaya kab talak saaya rahegā
kahāñ tak peḌ sūraj se laḌeñge
charāġh is tīrgī meñ kab jalegā
ye shahr ābād haiñ par kab baseñge
jo husn-e-kashmakash hai dar-tah-e-āb
subuk-sārān-e-sāhil se kaheñge
jinheñ 'sājid' ġham-e-ā.indagāñ hai
surūd-e-shām-e-rafta kyā suneñge
chalo duniya se milna chhoD denge
magar hum aaine se kya kahenge
chalenge raushni hogi jahan tak
phir is ke baad tujh se aa milenge
yahan kuchh bastiyan thin ab se pahle
mila koi to ye bhi puchh lenge
ye saya kab talak saya rahega
kahan tak peD suraj se laDenge
charagh is tirgi mein kab jalega
ye shahr aabaad hain par kab basenge
jo husn-e-kashmakash hai dar-tah-e-ab
subuk-saran-e-sahil se kahenge
jinhen 'sajid' gham-e-aindagan hai
surud-e-sham-e-rafta kya sunenge
- Book : siip (Magzin) (Pg. 269)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.