chalo ghazal mein kuchh aisa bhi aazmaya jae
chalo ġhazal meñ kuchh aisā bhī āzmāyā jaa.e
radīf ḳhud ko use qāfiya banāyā jaa.e
vo kah rahī thī havā ban ke shab meñ ā.ūñgī
so ab charāġh kī sūrat badan jalāyā jaa.e
junūn-e-īzā-pasandī to hai tabī.at meñ
hamāre zaḳhm pe phir se namak lagāyā jaa.e
vo ḳhushk hoñToñ pe mere savāl kartī hai
to kyā laboñ kā taqāzā use batāyā jaa.e
jo dil pe ho gayā tahrīr us kā kyā hogā
magar vo kahtā hai har lafz ab miTāyā jaa.e
bahut dinoñ se nashe meñ huuñ hosh kī ḳhātir
phir aaj shaam ko paanī meñ kuchh milāyā jaa.e
mushā.ere kī ho fihrist jaarī jo 'dilbar'
to ab ke shāh-e-taġhazzul ko bhī bulāyā jaa.e
chalo ghazal mein kuchh aisa bhi aazmaya jae
radif KHud ko use qafiya banaya jae
wo kah rahi thi hawa ban ke shab mein aaungi
so ab charagh ki surat badan jalaya jae
junun-e-iza-pasandi to hai tabiat mein
hamare zaKHm pe phir se namak lagaya jae
wo KHushk honTon pe mere sawal karti hai
to kya labon ka taqaza use bataya jae
jo dil pe ho gaya tahrir us ka kya hoga
magar wo kahta hai har lafz ab miTaya jae
bahut dinon se nashe mein hun hosh ki KHatir
phir aaj sham ko pani mein kuchh milaya jae
mushaere ki ho fihrist jari jo 'dilbar'
to ab ke shah-e-taghazzul ko bhi bulaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.