chalo lahja mera maKHmal nahin hai
chalo lahja mirā maḳhmal nahīñ hai
magar sochoñ meñ to daldal nahīñ hai
kahīñ dariyā uphante jā rahe haiñ
kahīñ saa.e ko bhī bādal nahīñ hai
haiñ jhagḌe bhī marāsim hī kā hissa
ta'alluq toḌ denā hal nahīñ hai
muhāfiz sach ke kuchle jā rahe haiñ
kisī māthe pe lekin bal nahīñ hai
use bhī 'ilm thā is kā ba-ḳhūbī
ki mere saath us kā kal nahīñ hai
hai sar kā taaj ḳhuddārī hamārī
kisī ke paañv kī pāyal nahīñ hai
paḌī haiñ be-kafan saḌkoñ pe lāsheñ
kahīñ kuchh bhī magar halchal nahīñ hai
sajā rakkhe haiñ sab ne ḳhvāb kal ke
magar bas meñ kisī ke kal nahīñ hai
kahīñ jangal meñ mangal ho rahā hai
kahīñ kuchh bhī kushal mangal nahīñ hai
chalo lahja mera maKHmal nahin hai
magar sochon mein to daldal nahin hai
kahin dariya uphante ja rahe hain
kahin sae ko bhi baadal nahin hai
hain jhagDe bhi marasim hi ka hissa
ta'alluq toD dena hal nahin hai
muhafiz sach ke kuchle ja rahe hain
kisi mathe pe lekin bal nahin hai
use bhi 'ilm tha is ka ba-KHubi
ki mere sath us ka kal nahin hai
hai sar ka taj KHuddari hamari
kisi ke panw ki payal nahin hai
paDi hain be-kafan saDkon pe lashen
kahin kuchh bhi magar halchal nahin hai
saja rakkhe hain sab ne KHwab kal ke
magar bas mein kisi ke kal nahin hai
kahin jangal mein mangal ho raha hai
kahin kuchh bhi kushal mangal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.