chalo mile na mile kuchh sawal kar dekho
chalo mile na mile kuchh savāl kar dekho
koī sadā to havā meñ uchhāl kar dekho
tamām 'umr jo khaTkegā vo savāl huuñ maiñ
jo Taal sakte ho mujh ko to Taal kar dekho
jahāñ kahīñ bhī rahūñgā maiñ lauT ā.ūñgā
na ho yaqīn to merā ḳhayāl kar dekho
banegā 'aks jo paanī meñ Tuut jā.egā
jo merā haal hai vo apnā haal kar dekho
libās-e-jism meñ 'shāhid' ko DhūñDne vaalo
kabhī to is ko badan se nikāl kar dekho
chalo mile na mile kuchh sawal kar dekho
koi sada to hawa mein uchhaal kar dekho
tamam 'umr jo khaTkega wo sawal hun main
jo Tal sakte ho mujh ko to Tal kar dekho
jahan kahin bhi rahunga main lauT aaunga
na ho yaqin to mera KHayal kar dekho
banega 'aks jo pani mein Tut jaega
jo mera haal hai wo apna haal kar dekho
libas-e-jism mein 'shahid' ko DhunDne walo
kabhi to is ko badan se nikal kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.