chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun
chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun
Irshad Husain Kazmi
MORE BYIrshad Husain Kazmi
chalo us bevafā ko maiñ bhulā kar dekh letā huuñ
ye sho'le ḳhushk pattoñ meñ chhupā kar dekh letā huuñ
kisī sūrat guzishta sā.atoñ ke naqsh miT jaa.eñ
maiñ dīvāroñ se tasvīreñ haTā kar dekh letā huuñ
jo itnī paas haiñ vo sūrateñ dhuñdlā.e.gī kaise
ḳhud apnī saañs shīshe par lagā kar dekh letā huuñ
bahut dil ko satātā hai agar be-ḳhānumāñ honā
to kuchh lamhe havā meñ ghar banā kar dekh letā huuñ
ye mumkin hai use bhī is se ho kuchh duur kī nisbat
maiñ aane vaalā har patthar uThā kar dekh letā huuñ
tavaqqo' hai ki shāyad vo yūñhī pahchān le mujh ko
use is ke purāne ḳhat dikhā kar dekh letā huuñ
mire ġham kī ḳhabar 'irshād' duniyā ko huī kaise
bhare tālāb meñ kankar girā kar dekh letā huuñ
chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun
ye sho'le KHushk patton mein chhupa kar dekh leta hun
kisi surat guzishta saaton ke naqsh miT jaen
main diwaron se taswiren haTa kar dekh leta hun
jo itni pas hain wo suraten dhundlaegi kaise
KHud apni sans shishe par laga kar dekh leta hun
bahut dil ko satata hai agar be-KHanuman hona
to kuchh lamhe hawa mein ghar bana kar dekh leta hun
ye mumkin hai use bhi is se ho kuchh dur ki nisbat
main aane wala har patthar uTha kar dekh leta hun
tawaqqo' hai ki shayad wo yunhi pahchan le mujh ko
use is ke purane KHat dikha kar dekh leta hun
mere gham ki KHabar 'irshad' duniya ko hui kaise
bhare talab mein kankar gira kar dekh leta hun
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 24)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.