chalo yun hi sahi ab tum na aana is taraf samjhe
chalo yuuñ hī sahī ab tum na aanā is taraf samjhe
kahīñ aisā na ho tum ko zamāna is taraf samjhe
mujhe ma.alūm hai tum ḳhud ko bhī dhoke meñ rakkhoge
tumheñ le aa.egā koī bahāna is taraf samjhe
mukarrar is liye aatā rahā huuñ sāmne us ke
vo pāgal hai kabhī apnā nishāna is taraf samjhe
mujhe dukh bhī huā lekin unheñ samjhānā lāzim thā
jidhar maiñ thā parinde āb-o-dānā is taraf samjhe
mohabbat yā zarūrat naam deñ 'bedār' jī koī
rahegā aap kā ab aanā jaanā is taraf samjhe
chalo yun hi sahi ab tum na aana is taraf samjhe
kahin aisa na ho tum ko zamana is taraf samjhe
mujhe malum hai tum KHud ko bhi dhoke mein rakkhoge
tumhein le aaega koi bahana is taraf samjhe
mukarrar is liye aata raha hun samne us ke
wo pagal hai kabhi apna nishana is taraf samjhe
mujhe dukh bhi hua lekin unhen samjhana lazim tha
jidhar main tha parinde aab-o-dana is taraf samjhe
mohabbat ya zarurat nam den 'bedar' ji koi
rahega aap ka ab aana jaana is taraf samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.