chalo yun hi sahi tark-e-talluq kar hi lete hain
chalo yuuñ hī sahī tark-e-ta.alluq kar hī lete haiñ
jo tum ḳhush ho to ham marne se pahle mar hī lete haiñ
agarche ham tumhārī hī tarah ḳhud.dār haiñ phir bhī
tumhāre naam par kuchh roz aaheñ bhar hī lete haiñ
tumhāre ishq kī tohmat bahut achchhī lagī ham ko
koī bhī chiiz lenī ho to ham behtar hī lete haiñ
ḳhudā ke ḳhauf se khultā hai nekī kā jo darvāza
to ham bhī nek banñe ko ḳhudā se Dar hī lete haiñ
rahe nuqsān meñ ab ke bhī kārobār-e-hastī meñ
ki aksar ham sitāroñ kī jagah patthar hī lete haiñ
nahīñ hai garm-joshī kī tapish baaqī agar tujh meñ
to phir be-mehriyoñ kī ThanD meñ ham Thar hī lete haiñ
'qatīl' in qātiloñ kā sāmnā tum hosh se karnā
kabhī lete the ye dil bhī magar ab sar hī lete haiñ
chalo yun hi sahi tark-e-talluq kar hi lete hain
jo tum KHush ho to hum marne se pahle mar hi lete hain
agarche hum tumhaari hi tarah KHuddar hain phir bhi
tumhaare nam par kuchh roz aahen bhar hi lete hain
tumhaare ishq ki tohmat bahut achchhi lagi hum ko
koi bhi chiz leni ho to hum behtar hi lete hain
KHuda ke KHauf se khulta hai neki ka jo darwaza
to hum bhi nek banne ko KHuda se Dar hi lete hain
rahe nuqsan mein ab ke bhi karobar-e-hasti mein
ki aksar hum sitaron ki jagah patthar hi lete hain
nahin hai garm-joshi ki tapish baqi agar tujh mein
to phir be-mehriyon ki ThanD mein hum Thar hi lete hain
'qatil' in qatilon ka samna tum hosh se karna
kabhi lete the ye dil bhi magar ab sar hi lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.