chalta rahunga chahe koi ham-safar na ho
chalta rahunga chahe koi ham-safar na ho
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
chaltā rahūñgā chāhe koī ham-safar na ho
us samt ki jahāñ koī hijrat kā Dar na ho
duniyā ke tūl-o-arz meñ dekhā nahīñ kabhī
aisā maqām jis pe kisī kā guzar na ho
jalte raheñ firāq kī hiddat meñ umr-bhar
shāyad kabhī bhī ma.arka-e-hijr sar na ho
ḳhairāt husn-e-yār kī shāyad na mil sake
mumkin hai vo hasīn bhī kal baam par na ho
duniyā tasavvurāt kī kitnī hasīn hai
kyā fā.eda ki jab koī tasvīr-gar na ho
chāhe ye zindagī kā safar dasht meñ kaTe
lekin tirā faqīr kahīñ dar-ba-dar na ho
duurī kā shauq shauq se puurā kiyā gayā
ḳhvāhish thī vo qarīb mire is qadar na ho
tanhā tavīl rastoñ pe chalnā muhāl hai
merā tire baġhair kahīñ bhī safar na ho
shāyad ki koī yaad muqayyad rahe mudām
shāyad visāl-e-yār kā lamha basar na ho
mumkin hai us taraf se palaT kar na aa sako
mumkin hai us taraf koī achchhī ḳhabar na ho
tujh se bichhaḌ ke chaltā rahūñ raah par ravāñ
dariyā kā ain vast ho lekin bhañvar na ho
chalta rahunga chahe koi ham-safar na ho
us samt ki jahan koi hijrat ka Dar na ho
duniya ke tul-o-arz mein dekha nahin kabhi
aisa maqam jis pe kisi ka guzar na ho
jalte rahen firaq ki hiddat mein umr-bhar
shayad kabhi bhi marka-e-hijr sar na ho
KHairaat husn-e-yar ki shayad na mil sake
mumkin hai wo hasin bhi kal baam par na ho
duniya tasawwuraat ki kitni hasin hai
kya faeda ki jab koi taswir-gar na ho
chahe ye zindagi ka safar dasht mein kaTe
lekin tera faqir kahin dar-ba-dar na ho
duri ka shauq shauq se pura kiya gaya
KHwahish thi wo qarib mere is qadar na ho
tanha tawil raston pe chalna muhaal hai
mera tere baghair kahin bhi safar na ho
shayad ki koi yaad muqayyad rahe mudam
shayad visal-e-yar ka lamha basar na ho
mumkin hai us taraf se palaT kar na aa sako
mumkin hai us taraf koi achchhi KHabar na ho
tujh se bichhaD ke chalta rahun rah par rawan
dariya ka ain wast ho lekin bhanwar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.