chalte chalte sathi koi bichhDa to afsos hua
chalte chalte sāthī koī bichhḌā to afsos huā
hāthoñ se jab haath kisī kā chhūTā to afsos huā
kitnī naav Dubo kar ham ne dariyā kā ruḳh badlā thā
moḌ pe aa kar suukh gayā jab dariyā to afsos huā
dil kā karb chhupāne kā fan mushkil hai āsān nahīñ
hañste hañste us ko rotā dekhā to afsos huā
ye mat pūchho un se kyā kyā ummīdeñ vābasta thiiñ
patthar se Takrā ke shīsha TuuTā to afsos huā
duniyā kī be-rāh-ravī par pahroñ sochā kartā thā
aaj zarā apne baare meñ sochā to afsos huā
duniyā kī mauhūm fazā meñ kyā kyā kuchh ham bhuul ga.e
bhūle se 'irfān' koī yaad aayā to afsos huā
chalte chalte sathi koi bichhDa to afsos hua
hathon se jab hath kisi ka chhuTa to afsos hua
kitni naw Dubo kar hum ne dariya ka ruKH badla tha
moD pe aa kar sukh gaya jab dariya to afsos hua
dil ka karb chhupane ka fan mushkil hai aasan nahin
hanste hanste us ko rota dekha to afsos hua
ye mat puchho un se kya kya ummiden wabasta thin
patthar se Takra ke shisha TuTa to afsos hua
duniya ki be-rah-rawi par pahron socha karta tha
aaj zara apne bare mein socha to afsos hua
duniya ki mauhum faza mein kya kya kuchh hum bhul gae
bhule se 'irfan' koi yaad aaya to afsos hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.