chalte hain hum bhi su-e-chaman chha gai ghaTa
chalte hain hum bhi su-e-chaman chha gai ghaTa
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
chalte haiñ ham bhī sū-e-chaman chhā ga.ī ghaTā
saaqī sharāb le ke pahuñch aa ga.ī ghaTā
jalva jo agle lutf kā dikhlā ga.ī ghaTā
apnī nazar ke sāmne lahrā ga.ī ghaTā
paanī baras chukā thā abhī ḳhuub baaġh meñ
daur-e-sharāb dekh ke phir aa ga.ī ghaTā
is saal aage dekhiye kartī hai kyā sulūk
agle baras to ḳhuub sā rulvā ga.ī ghaTā
aise ḳhayāl-e-aish meñ hote haiñ din basar
dekhā jidhar uThā ke nazar chhā ga.ī ghaTā
ab bhī na mai-kashī kā karūñ shaġhl ai 'vahīd'
aa.ī bahār phuul khile chhā ga.ī ghaTā
chalte hain hum bhi su-e-chaman chha gai ghaTa
saqi sharab le ke pahunch aa gai ghaTa
jalwa jo agle lutf ka dikhla gai ghaTa
apni nazar ke samne lahra gai ghaTa
pani baras chuka tha abhi KHub bagh mein
daur-e-sharab dekh ke phir aa gai ghaTa
is sal aage dekhiye karti hai kya suluk
agle baras to KHub sa rulwa gai ghaTa
aise KHayal-e-aish mein hote hain din basar
dekha jidhar uTha ke nazar chha gai ghaTa
ab bhi na mai-kashi ka karun shaghl ai 'wahid'
aai bahaar phul khile chha gai ghaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.