chalti rahti hai tasalsul se junun-KHez hawa
chaltī rahtī hai tasalsul se junūñ-ḳhez havā
jaltā rahtā hai magar phir bhī kahīñ ek diyā
kisī mahfil meñ koī shaḳhs bahut khul ke hañsā
vāqi.a ye to ajab aaj yahāñ pesh aayā
yaad aatā hai bahut ek purānā āñgan
jis meñ pīpal kā ghanā peḌ huā kartā thā
ashk bahte haiñ to bahte hī chale jaate haiñ
rok saktā hai bahāv bhī koī dariyā kā
raat ham ek ġhazal likhte hue rote rahe
ba.az lafzoñ ko to ashkoñ ne miTā hī Daalā
phir se Takrā gayā mujh hī se mire dil kā mafād
phir se barpā huā ik mārka-e-karb-o-balā
chalti rahti hai tasalsul se junun-KHez hawa
jalta rahta hai magar phir bhi kahin ek diya
kisi mahfil mein koi shaKHs bahut khul ke hansa
waqia ye to ajab aaj yahan pesh aaya
yaad aata hai bahut ek purana aangan
jis mein pipal ka ghana peD hua karta tha
ashk bahte hain to bahte hi chale jate hain
rok sakta hai bahaw bhi koi dariya ka
raat hum ek ghazal likhte hue rote rahe
baz lafzon ko to ashkon ne miTa hi Dala
phir se Takra gaya mujh hi se mere dil ka mafad
phir se barpa hua ek marka-e-karb-o-bala
- Book : Musaafat Raigaan Thi (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.