chamak chamak ke sitaro mujhe fareb na do
chamak chamak ke sitāro mujhe fareb na do
tum apnī raat guzāro mujhe fareb na do
tilism TuuT gayā hai tumhārī ulfat kā
mirī havas ko pukāro mujhe fareb na do
meñ jāntā huuñ tumhārī haqīqat-e-hastī
ḳhizāñ-nasīb bahāro mujhe fareb na do
lage hue haiñ yahāñ phuul phuul se kāñTe
mire chaman ke nazāro mujhe fareb na do
taḌap taḌap na uTho aaj mere armānb
bhaḌak bhaḌak ke sharāro mujhe fareb na do
umīd-e-vāda-e-fardā na mujh ko dilvāo
maiñ ġham-nasīb huuñ yaaro mujhe fareb na do
chamak chamak ke sitaro mujhe fareb na do
tum apni raat guzaro mujhe fareb na do
tilism TuT gaya hai tumhaari ulfat ka
meri hawas ko pukaro mujhe fareb na do
mein jaanta hun tumhaari haqiqat-e-hasti
KHizan-nasib bahaaro mujhe fareb na do
lage hue hain yahan phul phul se kanTe
mere chaman ke nazaro mujhe fareb na do
taDap taDap na uTho aaj mere armanb
bhaDak bhaDak ke shararo mujhe fareb na do
umid-e-wada-e-farda na mujh ko dilwao
main gham-nasib hun yaro mujhe fareb na do
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 247)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.