chamak hai ishq ki tira-shabi mein pahle se
chamak hai 'ishq kī tīra-shabī meñ pahle se
maiñ jal rahā huuñ isī raushnī meñ pahle se
chalī thī ḳhaak bhī merī vahīñ bikharne ko
havā ne raqs kiyā us galī meñ pahle se
koī bhī halqa-e-zanjīr ho asiir huuñ maiñ
tire hī silsila-e-dilbarī meñ pahle se
tire visāl se kuchh kam nahīñ umīd-e-visāl
so ham halāk hue haiñ ḳhushī meñ pahle se
Dubo diyā mujhe mere lahū ne āḳhir-kār
bhañvar to so.e hue the nadī meñ pahle se
khulā ki terā hī paikar misāl-e-sūrat-e-sang
chhupā huā thā mirī shā'irī meñ pahle se
chamak hai 'ishq ki tira-shabi mein pahle se
main jal raha hun isi raushni mein pahle se
chali thi KHak bhi meri wahin bikharne ko
hawa ne raqs kiya us gali mein pahle se
koi bhi halqa-e-zanjir ho asir hun main
tere hi silsila-e-dilbari mein pahle se
tere visal se kuchh kam nahin umid-e-visal
so hum halak hue hain KHushi mein pahle se
Dubo diya mujhe mere lahu ne aaKHir-kar
bhanwar to soe hue the nadi mein pahle se
khula ki tera hi paikar misal-e-surat-e-sang
chhupa hua tha meri sha'iri mein pahle se
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 103)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.