chamak jo ab ke baDhi hai sarab mein kuchh aur
chamak jo ab ke baḌhī hai sarāb meñ kuchh aur
izāfa honā hai shāyad 'azāb meñ kuchh aur
mizāj ḳhushbū kā merī samajh se bāhar hai
vo har-siñgār meñ kuchh hai gulāb meñ kuchh aur
hamārī nasl mohabbat kī baat kyā jaane
hameñ paḌhāyā gayā hai nisāb meñ kuchh aur
jo zard patte mile haiñ vahī ġhanīmat haiñ
kaho havā se ki dekhe na ḳhvāb meñ kuchh aur
vo mere naam ik-ik saañs karne vaalā thā
likhā huā hai magar intisāb meñ kuchh aur
chamak jo ab ke baDhi hai sarab mein kuchh aur
izafa hona hai shayad 'azab mein kuchh aur
mizaj KHushbu ka meri samajh se bahar hai
wo har-singar mein kuchh hai gulab mein kuchh aur
hamari nasl mohabbat ki baat kya jaane
hamein paDhaya gaya hai nisab mein kuchh aur
jo zard patte mile hain wahi ghanimat hain
kaho hawa se ki dekhe na KHwab mein kuchh aur
wo mere nam ik-ik sans karne wala tha
likha hua hai magar intisab mein kuchh aur
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 90)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.